aaya ufuq ki sej tak aa kar palat gaya lekin urus-e-shab ka wo ghunghat ulat gaya dil mein basi hain kitni tere baad bastiyan dariya tha khushk ho ke jaziron mein bat gaya ek shakhs lautte hue kal tere shahr se ro ro ke apne naqsh-e-qadam se lipat gaya main chal raha hun khol badan ka utar kar ab mere raste ka ye patthar bhi hat gaya phaili rahengi jholiyan palkon ki kab talak aaya tha jo umad ke wo baadal to chhat gaya dasht-e-nazar se itne bagule uthe 'rashid' ek muskuraate chand ka chehra bhi at gaya