din bahut saffak nikla raat sab dukh sah gai dant mein ungli dabae sham tanha rah gai sang-rezon ki tarah bikhri padi hain khwahishen dekhte hi dekhte kis ki haweli dah gai sandali khwabon mein lipte the hazaron azhdahe aur phir tasir jism-o-jaan mein tah-dar-tah gai be-murawwat saaton ko roiye kyun umr bhar ek shai aankhon mein jo rahti thi kab ki bah gai ghar ki diwaron pe sabza bin ke ugna tha mujhe ek hawa sahra se aai kan mein kuchh kah gai