aazad nahin zehn abhi fikr-e-badan se nikla nahin insan abhi apne gahan se ab dar se milta hai tera qamat-e-baala shikwa tha tere qad ko bahut sarw-o-saman se mausam ka nahin apne koi jism shanasa mathe ka talluq nahin mathe ki shikan se dushwar tha kuchh main bhi zamane ke hunar par kuchh dur rakha waqt ne mujh ko mere fan se kya us ko khabar hai kahan le jaegi khushbu wo phul ki utra hai abhi shakh-e-chaman se har rang mila hai mujhe mazi ki dhanak se har tarz nai aai hai andaz-e-kuhan se utra hai 'samad' shahr pe wo rang-e-takalluf fan ko bhi talluq nahin be-sakhta-pan se