pas-e-nazzara koi lahr si thi pani tak kya tamasha tha na thi aankh mein hairani tak safar itna tha kathin laut bil-akhir aae badi mushkil se chale rah-e-tan-asani tak dhajjiyan jism se utri hain abhi khair manao tan se utrega yahan jama-e-uryani tak kisi anjaan chamak ke hain dil-o-chashm asir silsila ek sa hai aaine se pani tak sar-o-saman koi us rah se kyunkar le jae chhod aae hain jahan be-sar-o-samani tak aur phir itna chale panw mein taqat na rahi do qadam the meri danai se nadani tak