har ek shakhs mera shahr mein shanasa tha magar jo ghaur se dekha to main akela tha wo khwab aish-e-tarab ka jo hum ne dekha tha haqiqaton se pare tha hasin dhoka tha khuda hamein bhi dikha de wo daur kaisa tha khulus-o-mehr ka har shakhs jis mein dariya tha sitam bhi mujh pe wo karta raha karam ki tarah wo mehrban to na tha mehrban jaisa tha guzishta raat bhi hum ne yunhi guzari thi zamin ko farsh kiya aasman odha tha usi ko matlabi 'taban' kaha zamane ne dua salam jo chhote bade se rakhta tha