aazadi ka manzar achchha lagta hai shish mahal se chhappar achchha lagta hai taj amir-e-shahr mubarak ho tujh ko diwanon ko patthar achchha lagta hai bachpan kab ka bit chuka phir bhi mujh ko man ke hath ka bistar achchha lagta hai mere lahu ko pani ki ab chah kahan khushk gale par khanjar achchha lagta hai teri yaad ka chand nikalta hai jis dam mujh ko akele shab bhar achchha lagta hai apnon mein tanhai ka ab ehsas na puchh ghar walon se be-ghar achchha lagta hai kaun hai kis pe nazr karen hum sar apna hum ko tera sang-e-dar achchha lagta hai apni zat ke andar kab tak qaid rahun mujh ko khud se bahar achchha lagta hai man ke hath ke bhat ke lazzat mat puchho sath mein us ke kankar achchha lagta hai himmat hai to dushman se bhi pyar karo yun to sab ko dilbar achchha lagta hai jab bhi namaz-e-fazr ada kar lete hain qasam khuda ki din bhar achchha lagta hai warna pyas hi dil ko bahlati hai 'halim' tere nam ka saghar achchha lagta hai