phirta rahta hun main har lahza pas-e-jam-e-sharab

phirta rahta hun main har lahza pas-e-jam-e-sharab
mujh ko bad-nam karegi hawas-e-jam-e-sharab

qafila aish ka tayyar hai rindon ke liye
qulqul-e-shisha-e-mai hai jaras-e-jam-e-sharab

jumbish-e-baad-e-sahar se hai tamawwuj mai mein
quwwat-e-jaan-e-hazin hai nafas-e-jam-e-sharab

kham lundha dun to na chakrae kabhi sar mera
ek jura mein gaya bul-hawas-e-jam-e-sharab

mujh se puchho asar-e-baada-e-gul-gun waiz
main hun rindon mein bahut nukta-ras-e-jam-e-sharab

tiktiki bandh ke dekha kiya itna ki bana
saya-e-mardum-e-dida magas-e-jam-e-sharab

mai na ho bu hi sahi kuchh to ho rindon ke liye
isi hile se bujhegi hawas-e-jam-e-sharab

zulf-e-mushkin ke liye bu jo chali aati hai
hai nasim-e-sahari ham-nafas-e-jam-e-sharab

hum ne rindon ka maqula ye suna hai 'shaida'
sohbat-e-aish mein zahid hai khas-e-jam-e-sharab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close