kamra to ye kahta hai kuchh aur hawa aae khidki se na guzre to diwar hata aae sar par hai safar itna khamosh ho tum jitna jite ho ki marte ho koi to sada aae aage jo qadam rakkha pichhe ka na gham rakha jis rah se hum guzre diwar utha aae ai muntazim-e-hasti ek chhoti si khwahish hai us din mujhe jine de jis roz qaza aae ab us ko numu dekhen deta hai shajar kaise tuti hui kuchh shakhen mitti mein daba aae