aazmaish imtihan isar tak jaana pada jaan-nisari ko raza-e-yar tak jaana pada zindagani ki hadon ke par tak jaana pada chahne walon ko aakhir dar tak jaana pada aagahi ko bas usul-e-yar tak jaana pada be-khudi ko ehtiraman dar tak jaana pada ghuncha-e-gul ko bahaaren pesh karne ke liye baghban ko sarhadon ke par tak jaana pada ho chuka bimar-e-gham jab har dawa se la-ilaj chaaragar ko khud dil-e-bimar tak jaana pada khushbuon ki jab se ulfat chhod baitha baghban khushbuon ko kucha-o-bazar tak jaana pada waqt ke munsif ki dekho to karam-farmaiyan shahsawaron ko bhi dasht-e-khar tak jaana pada naz-bardari ghazal ki hum sukhan-war kya karen 'mir' ko to saya-e-diwar tak jaana pada