aazurda ho gaya wo KHaridar be-sabab

aazurda ho gaya wo kharidar be-sabab
dil bech kar hua main gunahgar be-sabab

main ne to us se aankh ladai nahin kabhi
abru ne mujh pe khinchi hai talwar be-sabab

main ne balaen bhi nahin lin zulf-e-yar ki
main ho gaya bala-e-giraftar be-sabab

bosa kabhi liya nahin gul se ezar ka
kyun dil ke aable mein chubha khar be-sabab

kyun uth khade hue wo bhala main ne kya kaha
pahlu mein baith kar hue bezar be-sabab

puchhe to koi kya mere taqsir kya gunah
karta hai kyun sitam wo sitamgar be-sabab

ek raat bhi hansa nahin us shama-ru se main
aansu mere gale ke hue haar be-sabab

kis din do-chaar nargisi aankhon se main hua
is ishq ne kiya mujhe bimar be-sabab

jo un ki baat hai wo ladakpan ke sath hai
iqrar be-jahat hai to inkar be-sabab

phaha jagah ki dagh ka shayad sarak gaya
ye chashm-e-tar nahin hai sharar-bar be-sabab

dikhla ki ye bahaar shagufa phulaenge
odha nahin do-shaala-e-gulnar be-sabab

nikle the mujh par aaj wo talwar bandh kar
rahgir kushta ho gae do-chaar be-sabab

aamad nahin kisi ki to kyun jagte ho 'bahr'
rahta hai shab ko koi bhi bedar be-sabab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close