nafi ke jabr se aazad aur sabaat se dur hai kaenat koi meri kaenat se dur mera wajud meri dastan ka hissa hai mera nishan hai kahin par hisar-e-zat se dur pata chala hai ki chashma hai aab-e-haiwan ka zamin ki had se pare arsa-e-hayat se dur nigar khane ke andar nigar khane hain kai khayal hain mere takhaiyyulat se dur ye sabz rang ye shakhen to hain nazar ka fareb uga hua hai shajar dal aur pat se dur