aazurda nigahon pe ye manzar nahin utra sahra-e-tasawwur mein koi ghar nahin utra jab mil gaya irfan-e-nazar mujh ko khuda se phir kyun mere ehsas se mahshar nahin utra dekha nahin jis ne mere tufan ko sukun mein wo shakhs meri ruh ke andar nahin utra zalim to bahut hain magar ab un ko mitane phir koi ababil ka lashkar nahin utra is masnad-e-khaki pe main baitha hun jahan par koi bhi mahal-saz barabar nahin utra tanhai jahan bhi mili aadab kiya hai haq-talfi pe us ki mera paikar nahin utra samjhaute bulate rahe de kar mujhe gauhar iman ke ziyan mein magar 'azhar' nahin utra