bas ranj ki hai dastan unwan hazaron jine ke liye mar gae insan hazaron wo jis ne meri ruh ko dard-ashna rakkha hain mujh pe usi zakhm ke ehsan hazaron jis khak se kahte ho wafa hum nahin karte soe hain usi khak mein sultan hazaron ek rasm-e-takabbur hai so is daur ke insan jebon mein liye phirte hain pahchan hazaron lazim hai masafat mein bhatak jaana hamara hum tanha musafir ke hain saman hazaron ab hai faqat andesha-e-haalat mayassar hum dil mein kabhi rakhte the arman hazaron ye shahr-e-sukhan hai yahan har mod pe 'azhar' hoshiyar bane baithe hain nadan hazaron