koi kami zarur thi tera karam na mil saka chhod diya sanam-kada phir bhi haram na mil saka hum ko bhi thi ye aarzu chalte kisi ke sath sath log to kitne hi mile jazb-e-baham na mil saka ye bhi hai apni hi khata dil mein koi nahin bacha shama koi na jal saki koi sanam na mil saka waqt ke mir-o-shahryar darpa-e-jaan hain is liye apne huzur kyon unhen sar mera kham na mil saka dar pe khinch kar mujhe us ko kahan sukun magar is se bada koi use aur sitam na mil saka 'azhar'-e-khasta-jaan kisi dasht ki ab tu rah le chaaragaron ke shahr mein chaara-e-gham na mil saka