darakht mujh ko nai kahani suna rahe hain ki ye parinde gae dinon mein khuda rahe hain main kuchh dinon mein khuda se milne ko ja raha hun mujhe lakiron ko padhne wale bata rahe hain tamam shahron ko dushmanon ne bacha liya hai mere sipahi bas apni jaanen bacha rahe hain sisak rahe hain tamam wada nibhane wale ki hum ye kaisi aziyyaton ko nibha rahe hain kisi ne khidki ko kholna hai to dekhna hai so hum gali mein gulon ke jhurmut laga rahe hain bichhadne wale ne kab palat kar ye dekhna hai ki gham badan ke tamam hisson ko kha rahe hain ye ped waqif hain in fusun-khez khushbuon se so ehtiraman tamam sar ko jhuka rahe hain