ab aae ho sada sun kar gajar ki kaho ji shab kahan tum ne basar ki sahar ko dafn kar ke jaiyega musibat aur hai ek raat-bhar ki qafas mein band karna tha jo taqdir nadamat kyun mujhe di baal-o-par ki guzar jaegi jo guzregi hum par chalo ji rah lo tum apne ghar ki abhi tu jaan le le ai gham-e-ishq musibat kaun uthae umr-bhar ki khuda ke waste yaro sambhaalo ki phir shiddat hui dard-e-jigar ki tarashshoh aansuon ka ho raha hai ghata umdi hui hai chashm-e-tar ki na bolenge tumhaare khauf se hum hilaenge magar zanjir dar ki na aana tum ijazat mangne ko na dikhlana hamein surat safar ki koi dam ka bakheda rah gaya hai jigar tak barchhiyan pahunchen nazar ki hamein fassad ka munh dekhna hai uthani hai musibat neshtar ki habab-asa hai lutf-e-zindagani haqiqat kuchh nahin hoti bashar ki 'nasim' ab dil katan ki tarah hai chaak mohabbat mein kisi rashk-e-qamar ki