lut jati hai har chiz wo tinka ho ki shahtir han lutne se rah jati hai ek dard ki jagir ai kash koi kah sake aisa koi ek sher ek sher jo fil-faur hi ban jata ho taswir santur pheran qahwa chinar aur shikara un lafzon se ubhra hai sada zehn mein kashmir go zehn ko malum hai ab sari haqiqat ab bhi magar is dil se bandhi chand ki zanjir ek sada waraq jazb the jis mein kai aansu ek mere siwa padh na saka koi wo tahrir