abr san har-chand rakkha chashm ko pur-ab hum

abr san har-chand rakkha chashm ko pur-ab hum
kar sake par kisht ulfat ka nahin shadab hum

hijr ki aatish ne aisa qurb-e-dil paida kiya
be-qararana tadapte ab hain jun simab hum

chha gain zulfen kisi mukhde pe jun aakas pun
khud-bakhud khate hain pech-o-tab jun lailab hum

gard-baad-asa pade phirte hain bagh-o-ragh mein
maskan-o-mawa kahan rakhte hain dar-yak-bab hum

dekh lene de tu apne kan ka bunda hamein
phir kahan pawenge zalim ye dur-e-nayab hum

zindagi phusla ke lai yan hazar afsos aah
phans gae be-tarah is duniya ke dar khullab hum

yan hai fikr-e-maishat wan hai andesha maad
hain ba-girdab-e-gham-e-duniya-e-dun gharqab hum

munkashif hoti haqiqat marg gar roz-e-alast
hargiz ai dahr az adam karte nahin peshab hum

mat kar 'afridi' ko is maslakh mein paband aakhirash
zabh ho jawenge tere hath ai qassab hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close