palkon se aasman ko ishaara karo kabhi aansu hamare gham ka sitara karo kabhi mausam jawan hua hai bahaaron ke nur se hathon mein hath dale nazara karo kabhi tanhaiyon ki raaton mein ab hum se sharm kya malbus khamushi ka utara karo kabhi dahliz par khade yun sar-e-rah-e-raftagan apna bhi intizar gawara karo kabhi dil shai ajib hai kahin hum laut hi na jaen is ehtiyat se na pukara karo kabhi ye jaan tumari nazr hai chahe to jaan lo ye dil tumhaara ghar hai sanwara karo kabhi