kyun kisi aur ko dukh dard sunaun apne apni aankhon se bhi main zakhm chhupaun apne main to qaem hun tere gham ki badaulat warna yun bikhar jaun ki khud hath na aaun apne sher logon ke bahut yaad hain auron ke liye tu mile to main tujhe sher sunaun apne tere raste ka jo kanta bhi mayassar aae main use shauq se collar par sajaun apne sochta hun ki bujha dun mein ye kamre ka diya apne sae ko bhi kyun sath jagaun apne us ki talwar ne wo chaal chali hai ab ke panw katte hain agar hath bachaun apne aakhiri baat mujhe yaad hai us ki 'anwar' jaane wale ko gale se na lagaun apne