ab ahl-e-dil hain ki nayab hote jate hain ghubar-e-khatir-e-ahbab hote jate hain tumhaare aane se kuchh iztirab kam hota ye kya ki aur bhi betab hote jate hain sukun-maab samajhte the jin kinaron ko simat ke halqa-e-girdab hote jate hain hamein bhi raat ko din kahna aata jata hai ki hum bhi hamil-e-adab hote jate hain hamein mile na mile zindagi magar 'nikhat' suna hai zist ke asbab hote jate hain