ye sahra bas abhi gulzar ho jaane hi wala hai koi tufan nahin to qafila aane hi wala hai zara thahro use aane do us ki baat bhi sun len hamein jo ilm hai go dil ko dahlane hi wala hai samundar mein jazire hain jaziron par hai aabaadi abhi ek shor bas kanon se takrane hi wala hai hawa-e-fasl-e-gul mein shorish-e-baad-e-khizan bhi hai kali khilti hai yani phul murjhane hi wala hai kahan jaoge kis khak-e-tamanna ki hawas mein ho tumhaari rah ka har mod virane hi wala hai wahi gharqab honge hum wahi kashti na dubegi agarche nakhuda is sach ko jhutlane hi wala hai