ab aisi baaten koi kare jo sab ke man ko lubha jaen koi to aisa git chhide wo jis ko sunen aur aa jaen be-tal hai kaisi ye sargam be-lahra panjam hai maddham jo rag hai dipak is man mein us rag ko kaise ga jaen ab chalna hai to chalna hai kya panw ke chhaalon ko dekhen is dharti ki pag-dandi se koi thikana pa jaen ye mera lahu wo tera lahu ye mera ghar wo tera hai jo aag lagi hai donon mein ab jate jate bujha jaen ye dher nahin hai mitti ka ek 'salik' thak kar soya hai kuchh os gira do palkon se kuchh phul yahan lahra jaen