kuchh taghayyur mere ahwal-e-pareshan mein nahin aise aalam mein hun jo aalam-e-imkan mein nahin subh-e-mahshar bhi dikhai nahin deti yarab roz-e-bad bhi to nasib-e-shab-e-hijran mein nahin wahshat-e-ishq ko sabit-qadami bhi hai zarur qais ka naqsh-e-qadam tak to bayaban mein nahin ho gaya zauq faza-e-khalish-e-yaad-e-mizha kaun kahta hai ki lazzat tere paikan mein nahin dasht-e-wahshat mein ude phirte hain aaram se hum jo sifat zoaf mein hai takht-e-sulaiman mein nahin