ab aisi na-umidi bhi nahin hai

ab aisi na-umidi bhi nahin hai
bahaar aaegi phir hum ko yaqin hai

taghayyur ko laga karti hain sadiyan
karishma do ghadi ka ye nahin hai

na ho pae na honge fasle kam
azal se yunhi gardish mein zamin hai

yahi hai rishta-e-tar-e-nafas ab
jo ek nashtar sa dil mein jaguzin hai

wahi rah rah ke hum se puchhte hain
bayan jis baat ka aasan nahin hai

na puchho hum se mausam ki haqiqat
mizaj-e-yar ki chin-e-jabin hai

hum ab ke khatm samjhe the kahani
dil-e-pur-azm tujh ko aafrin hai

chalo ek din 'sahar' us but se mil aaen
bahut din se use dekha nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close