nigah-e-lutf kya kam ho gai hai mohabbat aur mohkam ho gai hai tabiat kushta-e-gham ho gai hai charagh-e-bazm-e-matam ho gai hai maal-e-zabt-e-paiham ho gai hai masarrat hasil-e-gham ho gai hai tamanna jab badhi hai apni had se to mayusi ka aalam ho gai hai na jaane kyun adawat hi adawat hai sirisht-e-ibn-e-adam ho gai hai hai mahw-e-raqs har barg-e-chaman par badi bebak shabnam ho gai hai hansi honton par aate aate 'akhtar' payam-e-girya-e-gham ho gai hai