andheron mein bhatakna hai pareshani mein rahna hai main jugnu hun mujhe ek shab ki virani mein rahna hai abhi kuchh zabt ka yara meri aankhon mein baqi hai abhi ashkon ko palkon ki nigahbani mein rahna hai jo manzar ru-ba-ru hai dekh lun ek bar ji bhar ke phir is ke baad to aankhon ko hairani mein rahna hai teri wahshat samajhta hun ai meri aarzu lekin tujhe kuchh din abhi is dil ki virani mein rahna hai tu phir kyun laut kar har bar aa jati hain sahil par agar in kashtiyon ko umr bhar pani mein rahna hai isi ummid par to kat lin ye mushkilen hum ne ab is ke baad to ai 'shad' aasani mein rahna hai