ab apna yaqin hai na koi aur guman yaad main kaise kahun mujh ko hain sab kaun-o-makan yaad mujh ko to mahinon se khabar apni nahin hai tu puchh raha hai ki tujhe hai wo fulan yaad ahwal-e-dil-e-shefta mat puchhiye mujh se wo qaidi hun jis ko nahin apni hi fughan yaad main bhul bhi jata hun to kuchh darguzari kar wahshat mein bhala rahte hain aadab kahan yaad us nasl mein maujud hun jis nasl ko 'jami' tarikh ka kuchh ilm na ab tir-o-sinan yaad