lauh-e-imkan pe hasti ka bharam khulta hai jaane kab uqda-e-maujud-o-adam khulta hai rang-o-ahang bhi hote hain wahan dast daraaz us pari-zad ka jab bab-e-karam khulta hai sham hote hi yahan aamad-e-mahtab ke sath khana-e-dil mein teri yaad ka gham khulta hai hum koi baat tayaqqun se nahin kah sakte hum pe asrar-e-zamana abhi kam khulta hai yun bikharte hain khayalon mein tere husn ke rang dasht par jaise kisi abr ka nam khulta hai khatra-e-jaan hai rah-e-ishq mein lekin 'mukhtar' rah-e-dushwar pe chalne se qadam khulta hai