arman ko chhupane se musibat mein hai jaan aur shoale ko dabaate hain to uthta hai dhuan aur inkar kiye jao isi taur se han aur honton pe hai kuchh aur nigahon se ayan aur khud tu ne badhai hai ye tafriq-e-jahan aur tu ek magar rup yahan aur wahan aur dil mein koi ghuncha kabhi khilte nahin dekha is bagh mein kya aa ke bana legi khizan aur itna bhi mere ahd-e-wafa par na karo shak han han main samajhta hun ki hai rasm-e-jahan aur har lab pe tera nam hai ek main hun ki chup hun duniya ki zaban aur hai aashiq ki zaban aur ab koi sada meri sada par nahin deta aawaz-e-tarab aur thi aawaz-e-fughan aur kuchh dur pe milti hain haden arz-o-sama ki sahra-e-talab mein nahin manzil ka nishan aur ek aah aur ek ashk pe hai qissa-e-dil khatm rakhti nahin alfaz-e-mohabbat ki zaban aur wo subh ke tare ki jhapakne si lagi aankh kuchh der zara dida-e-anjum-nigaran aur 'mulla' wahi tum aur wahi ku-e-hasinan jaise kabhi duniya mein na tha koi jawan aur