ab apni ruh ke chhaalon ka kuchh hisab karun main chahta tha charaghon ko aaftab karun mujhe buton se ijazat agar kabhi mil jae to shahar-bhar ke khudaon ko be-naqab karun us aadmi ko bas ek dhun sawar rahti hai bahut hasin hai duniya ise kharab karun hai mere chaaron taraf bhid gunge bahron ki kise khatib banaun kise khitab karun main karwaton ke nae zaiqe likhun shab-bhar ye ishq hai to kahan zindagi azab karun ye zindagi jo mujhe qarz-dar karti rahi kahin akele mein mil jae to hisab karun