huzur-e-yar bhi aansu nikal hi aate hain kuchh ikhtilaf ke pahlu nikal hi aate hain mizaj ek nazar ek dil bhi ek sahi muamalat-e-man-o-tu nikal hi aate hain hazar ham-sukhni ho hazar ham-nazari maqam-e-jumbish-e-abru nikal hi aate hain hina-e-nakhun-e-pa ho ki halqa-e-sar-e-zulf chhupao bhi to ye jadu nikal hi aate hain janab-e-shaikh wazu ke liye sahi lekin kisi bahane lab-e-ju nikal hi aate hain mata-e-ishq wo aansu jo dil mein dub gae zamin ka rizq jo aansu nikal hi aate hain