ho gae muztar dekhte hi wo hilti zulfen phirti nazar hum

ho gae muztar dekhte hi wo hilti zulfen phirti nazar hum
dete hain dil ek aafat-e-jaan ko thame hue hathon se jigar hum

ghair ko gar wo pyar karenge apne lahu mein honge tar hum
dal hi denge un ke qadam par kat kar apne hath se sar hum

sulh hui to nale khinche yun karte hain sab ko khabar hum
pitte hain sine ka dhindhora dete hain dil bar-e-digar hum

aur milenge chhod na denge sun ke sada-e-murgh-e-sahar hum
halqa donon hath ka apne dal rakhenge gird-e-kamar hum

dil ke andar tur ke upar chashm-e-sanam mein ain haram mein
teri hi surat teri hi murat pujne jaen tujh ko kidhar hum

raaz chhupte to aaghaz achchha bhed khule to anjam achchha
misl-e-sikandar bhes badal kar jate hain ban kar nama-bar hum

andaza go kar hi chuke hain aa jati hai mutthi mein ye
aaj magar be-parda karenge dekhenge patli si kamar hum

late hi kuchh rang-e-jawani aankh se yun kin aankh ne baaten
aao dikhaen sab ko ghaten shoabda-gar tum jadugar hum

kahti hain zulfen mushkin kas len koi jo dale hath kamar mein
phail ke soo dar kya tum ko gasht karenge gird-e-kamar hum

lutf bada ho aur maza ho is ke ewaz gar aap ko paen
baith ke apne ghar ke andar dhundh rahe hain yar ka ghar hum

tum ko nazakat aur khuda de hum ko lazzat aur khuda de
paenche tum chutki se utha lo thame hue chalte hain kamar hum

uthta joban jhukti gardan dabti baaten rukti ghaten
hae na kyun sau jaan se fida hon in chaaron par uth phir hum

saya ban kar sath chalenge sath phirenge sath rahenge
apne ghar mein ghair ke dil mein jao jidhar tum aaen udhar hum

jald tum uttho daud ke aao hum ko thamo hum ko sambhaalo
girte hain misl-e-ashk zamin par uthte hain shakl-e-dard-e-jigar hum

sab se chhuda kar lae uda kar kya na rakhenge dil mein chhupa kar
rahne basne chalne phirne tum ko khuda ka denge ghar hum

munh jo khulega ranj badhega hum se na bolo hum ko na chhedo
kahida-tan aazurda-jaan aashufta-dil khasta-jigar hum

ye to chhapar-khat chhota sa hai pahlu mein tum sooge kyunkar
aao lita len sine par hum tum ko sula len chhati par hum

ranj gar aaya ho to bhula de pyar badha de hum se mila de
un ki nigah se to gir to chuke hain jaen na yarab dil se utar hum

dekh ke un ka jauban ubhra main ne kaha ye mal hai achchha
bole wo kya tum lut hi loge god mein yun aa jaen agar hum

thahri hai baham lutf ki bazi pahle jo pae jit usi ki
wasl ki shab hai dhundh rahe hain dil wo hamara un ki kamar hum

roz nae dil laen kahan se aise tohfe paen kahan se
chat padi hai tum ko dilon ki lutne jaen kis ka ghar hum

ghair ke bar mein un ko dekha khak mein jae aisa nazara
hath mein kam-bakht aa nahin sakta todte warna tar-e-nazar hum

nashw-o-numa pai hai deccan mein qadr hamari kyunkar hogi
ghar ki murghi dal barabar kis ko dikhaen apna hunar hum

kyun na kare diwana kisi ko sharm ki aadat husn ki shokhi
ho gae 'mail' dekh ke mail uthta joban jhukti nazar hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close