ab aur daman-e-dil tar-tar kya karte

ab aur daman-e-dil tar-tar kya karte
alam-nasib umid-e-bahaar kya karte

samajh liya tha sar-e-sham tum na aaoge
tamam raat bhala intizar kya karte

subuk-khiram the sab shahrah-e-resham par
ye mauj-e-khun mili jin ko wo par kya karte

thi jab nasib mein aawargi bagulon ke
bikhar na jate jo misl-e-ghubar kya karte

hadaf banate kise kaj-kulah phir aakhir
junun-pasand na hote to dar kya karte

wo nikhat-e-gul-e-tar ban ke dil mein thahra tha
tamam shahr ke zohra-nigar kya karte

ye jaante the ki bijli wahin pe girni hai
to us se rahm talab bar bar kya karte

dar-e-qubul hi jis ko na yaad rah paya
use duaon mein apni shumar kya karte

jhapakne paen na palken tamam shab 'azhar'
ab aur dida-e-khu-naba-bar kya karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close