faza mein aaj hai tari fasurdagi kitni hai dil-gudaz anadil ki bebasi kitni chalo jalaen har ek samt aagahi ke charagh yahi hai waqt ki har su hai tirgi kitni na aandhiyon ke thapede bujha sake us ko charagh-e-rahguzar mein thi zindagi kitni nazar lage na kahin ab hawa se ladta hai mizaj-e-yar mein hai aaj barhami kitni lapat lagi jo mahal mein use to chikh utha jala ke shahr hui thi use khushi kitni kaha na tha ki masaib ka karobar na kar magar thi teri siyasat mein sar-kashi kitni zamane bhar ke andhere shikast de na sake us ek charagh mein 'azhar' thi raushni kitni