thahar gaya hai ek hi manzar kamre mein main teri taswir december kamre mein main teri yaadon ki barish tez hawa tanha bhig raha hai bistar kamre mein main dariya ke par ki soch raha hun aur dar aaya hai ek samundar kamre mein le aai hai galiyon mein ek aag mujhe chhod aaya hun thanda bistar kamre mein khauf-zada hain ghar ki sari diwaren dera dale baitha hai dar kamre mein aangan mein hai jari raqs hawaon ka sahma baitha ek qalandar kamre mein kaun khizan mein phul khilane aaya hai kis ki khushbu hai ye banjar kamre mein aangan mein hai sune-pan ka raj 'ausaf' chikh rahi hai tanhai har kamre mein