chalo tum bhi muqaddar aazma lo hamare nam ka sikka uchhaalo main apne aap mein dhansne lagi hun mujhe meri hi daldal se nikalo guhar kam hain khazaf-reze ziyaada abhi kuchh aur dariya ko khangalo chalo karte hain tajdid-e-talluq purani ranjishon par khak dalo mera mazi mere dar par khada hai mujhe tum apne daman mein chhupa lo bahut mushkil ghadi aai hui hai ghadi ki sui ko aa kar sambhaalo tumhaare sath jina chahti hun mujhe be-maut marne se bacha lo bujha sakte nahin ho aag jab tum kam-az-kam aag mein ghi to na dalo tassub ka dhuan dam ghotta hai kahan mar-khap gae raushan khayalo tawajjoh chahiye tum ko jo 'rakhshan' kabhi tum bhi kisi ko ghas dalo