ab baad-e-fana kis ko bataun ki main kya tha ek khwab tha aur khwab bhi tabir-numa tha ab tak wo saman yaad hai jab hosh-ba-ja tha har shai mein mujhe lutf tha har shai mein maza tha tum jaur-o-jafa mujh pe na karte to bura tha hote na agar zulm to kya lutf-e-wafa tha kuchh yaad hain aaghaz-e-mohabbat ki wo baaten aur bhulne wale yahi paiman-e-wafa tha mauquf hai didar faqat zauq-e-nazar par aksar ke liye tur ke shoalon mein khuda tha yun maut pe main jaan ko qurban na karta tu ne mujhe shayad koi paigham diya tha hasti-o-adam donon ham-aghosh the goya taswir ka ek rukh tha fana ek baqa tha matlub ke dil mein bhi talab thi meri 'shaukat' dekha use main ne to mujhe dekh raha tha