agar gham tera gham hai to koi gham se riha kyun ho jise hasil ho tera qurb wo tujh se juda kyun ho ye hasti-o-adam kyun ho fana kyun ho baqa kyun ho tumhin-tum ho to phir dil mein khayal-e-ma-siwa kyun ho wafa mein be-wafai be-wafai mein wafa kaisi wafa ho to jafa kyun ho jafa ho to wafa kyun ho natija kuchh nahin hai shama ke aansu bahane se ye sarf-e-be-mahal aashiq ka aakhir khun-baha kyun ho tumhaari bewafai kya sanad hai sari duniya ko hue tum bewafa to umr meri bewafa kyun ho khuda na-karda main aur kaamyabi ghair mumkin hai jo bar aae kisi surat wo mera muddaa kyun ho asar se dil ke barham kyun nizam-e-dahr ho jae hum is se be-wafa kyun hon wo hum se ba-wafa kyun ho sarasar zulm hai is baat mein tum se gila mera rida rakkho jise tum phir wo zulm-e-na-rawa kyun ho yahin tayyar hain jo kuchh kaho jo hukm farmao hamare jurm par pabandi-e-roz-e-jaza kyun ho yahi kafi hai marne ke liye ye bhi bahana hai zarurat kya hai aakhir dard-e-dil us se siwa kyun ho zaban khamosh hai lab band hain himmat shikasta hai dua se hath uthae hain to ab koi dua kyun ho main khona chahta hun madd-o-jazr-e-bahr mein 'shaukat' wo sahil-ashna kashti ka meri na-khuda kyun ho