zindagi ka safar khatm hota raha tum mujhe dam-ba-dam yaad aate rahe meri viran palkon pe din dhalte hi kuchh sitare magar jagmagate rahe lut gai zindagi bujh gae dip bhi dur tak phir na baqi rahi raushni is andhere mein bhi hum teri yaad se apni viran mahfil sajate rahe tum se bichhde hue ek muddat hui din guzarta raha waqt talta raha sham aati rahi dil dhadakta raha hum charagh-e-mohabbat jalate rahe ek tum hi na the warna har chiz thi chand ke sath thi raat ki dil-kashi saz bajta raha lai ubharti rahi raqs hota raha log gate rahe yun na koi jiye jis tarah hum jiye zindagi bhar kisi ko na apna sake bewafai mera dil jalati rahi pyar ke nam par chot khate rahe