ab bhala kya dekhte ho aab mein gharq sab kuchh ho gaya girdab mein lutf meri maut ka badh jae so zahr aur dala gaya zahrab mein ho gai tab nur se nafrat mujhe dagh dekhe jab dil-e-mahtab mein main samajhta tha jinhen shirin-dahan sar-ba-sar bhige mile tezab mein gunje hi kaise bhala saz-e-jigar zang hi jab lag gaya mizrab mein dekhne ke baad sare qaede aib phir dekhe gae erab mein zehn mein koi khayal aata nahin hai rawani hi nahin aasab mein ek khuda se hi tawaqqo thi faqat nok nikal aae magar mehrab mein khasiyat hai in adab walon mein ek mar dete hai adab aadab mein