bandagi mein jo habibon ki raha sar mera thopne ke liye ilzam mila sar mera jaante the to bhi haalat ka sabab jaanna tha sar jhatakte hue main ne bhi kaha sar mera ruh ka meri na jaane tha irada kya hi subh jab main utha to soya mila sar mera sau zaban par sau tariqe meri ek dastan ke sau saron mein hai sau hisson mein bata sar mera