shahr ko chhod do aur ganw ko jao tum bhi is talluq ke takalluf ko uthao tum bhi aag jangal mein bhadak jaegi kal sham talak aaj baadal ko adaon se lubhao tum bhi dusre chehre mujhe kam hain rifaqat ke liye meri khatir koi chehra to sajao tum bhi main kahin sabza-e-khud-rau ki tarah ug aaun aur wahin phul ki surat nikal aao tum bhi mere hathon mein tere nam ki koi rekha tere hathon mein na aai ho dikhao tum bhi chand ko rok diya main ne in hathon mein 'suhail' tum mujhe rok lo jadu ye dikhao tum bhi