ab bhi duzdida nigah-e-naz hai kya mere rone mein bhi kuchh raaz hai ban gae afsane meri aah ke khamushi teri ki ab bhi raaz hai dekhne wale ki aankhen dekhiye aap ko surat pe apni naz hai ho chuki nakaamiyon ki intiha aur ulfat ka abhi aaghaz hai 'maikash'-o-inkar-e-baada haf-nazar lao saghar ye bhi ek andaz hai