maidan bhi ek jaisa aur ghar bhi ek jaisa ek saeban falak ka sar par bhi ek jaisa duniya hai khubsurat mere liye yahan par saya bhi ek jaisa paikar bhi ek jaisa andaz nafraton ka badla nahin abhi tak jangen bhi ek jaisi lashkar bhi ek jaisa sahra ki ret ho ya sabza ho wadiyon ka ninden bhi ek jaisi bistar bhi ek jaisa zahir mein mukhtalif hain lekin ba-waqt-e-tufan pani bhi ek jaisa patthar bhi ek jaisa apni jagah hai taza sadiyon se mera chehra awwal bhi ek jaisa aakhir bhi ek jaisa mera wajud 'shahid' shabnam ka ek khatra bahar bhi ek jaisa andar bhi ek jaisa