baithe hain gesuon ko pareshan kiye hue mere junun ko husn ka unwan kiye hue ji chahta hai kijiye barham mizaj-e-husn muddat hui hai un ko numayan kiye hue jurat to meri dekh ki hun tere samne hasti se apni tujh ko numayan kiye hue rakhta hun sau muamle tujh se ba-faiz-e-dil apni nazar se bhi tujhe pinhan kiye hue hai wo nazar tawazo-e-ulfat se mutmain mehman ko nazr-e-shokhi-e-mizhgan kiye hue ya-rab phir ek bar faqiron pe marhamat muddat hui ziyarat-e-insan kiye hue goya unhin ki yaad mein hai 'maikash'-e-kharab khud apne kufr-e-ishq ko iman kiye hue