ab bhi ek umr pe jine ka na andaz aaya zindagi chhod de pichha mera main baz aaya muzhda ai ruh tujhe ishq sa dam-saz aaya nakbat-e-faqr gai shah-e-sar-afraaz aaya pas apne jo naya koi fusun-saz aaya ho rahe us ke hamein yaad tera naz aaya pite pite teri ek umr kati us par bhi pine wale tujhe pine ka na andaz aaya dil ho ya ruh o jigar kan khade sab ke hue ishq aaya ki koi mufsida-pardaz aaya le raha hai dar-e-mai-khana pe sun-gun waiz rindo hushyar ki ek mufsida-pardaz aaya dil-e-majbur pe is tarah se pahunchi wo nigah jaise usfur pe par tol ke shahbaz aaya kyun hai khamosh dila kis se ye sargoshi hai maut aai ki tere waste hamraaz aaya dekh lo ashk-e-tawatur ko na puchho mera haal chup raho chup raho is bazm mein ghammaz aaya is kharabe mein to hum donon hain yaksan saqi hum ko pine tujhe dene ka na andaz aaya nala aata nahin kan-ras hai faqat ai bulbul mard-e-sayyah hun sun kar teri aawaz aaya dil jo ghabrae qafas mein to zara par kholun zor itna bhi na ai hasrat-e-parwaz aaya dekhiye nala-e-dil ja ke lagae kis se jis ka khatka tha wahi mufsida-pardaz aaya muddai basta-zaban kyun na ho sun kar mere sher kya chale sehr ki jab sahib-e-ejaz aaya rind phailae hain chullu ko takalluf kaisa saqiya dhaal bhi de jam khuda-saz aaya na gaya par na gaya shama ka rona kisi haal go ki parwana-e-marhum sa dam-saz aaya ek chupki mein gulu tum ne nikale sab kaam ghamza aaya na karishma na tumhein naz aaya dhyan rah rah ke udhar ka mujhe dilwata hai dam na aaya mere tan mein koi dam-saz aaya kis tarah maut ko samjhun na hayat-e-abadi aap aae ki koi sahib-e-ejaz aaya be-'anis' ab chaman-e-nazm hai viran ai 'shad' hae aisa na koi zamzama-pardaz aaya