nai bahaar ka tha muntazir chaman mera jo us ka lams mila khil utha badan mera khabar nahin meri tanhaiyon mein raat gae na jaane kaun bhigota hai pairahan mera mere wajud ko chhu le mujhe mukammal kar tere baghair adhura hai bankpan mera har ek mahaz pe mujh ko shikast di us ne agarche chaar-su lashkar tha khema-zan mera ab us ke samne jaun to khak udti hai wo din gae ki tha aaina ham-sukhan mera