ab intiha ka tere zikr mein asar aaya ki munh se nam liya dil mein tu utar aaya bahut dinon pe meri chashm mein nazar aaya ai ashk khair to hai tu kidhar kidhar aaya hazar shukr ki is dil mein tu nazar aaya ye naqsha safha-e-khali pe jald utar aaya bashar habab ki surat hamein nazar aaya bhari jo qatre ke andar hawa ubhar aaya zaban pe aata hai nala bhi sau karishmon se kahan se aap ke andaz ka asar aaya adam mein aish hai chalta hun main bhi le ai dil jahan mein jitne musibat ke din the bhar aaya likhe ko roiye ab ta-ba-hashr turbat mein ki mere marne pe khat le ke nama-bar aaya pada hai shab se yun hi ab talak na li karwat dil-e-sitam-zada us ki gali se mar aaya hazar shukr khuda ka yahi ghanimat hai na khair aaya mere dil ko aur shar aaya riya to dil mein thi mathe pe ab hai us ka nishan kahan ka dagh kahan dafatan ubhar aaya muqim-e-dil hai danwan dol rah ke ab iman buton ke qahr se chhuta khuda ke ghar aaya hamare pa-e-talab ne badi muhim sar ki ki kat ke samne qatil ke apna sar aaya sharab pi ke main pahuncha falak pe ai saqi kahan se un kai qatron mein ye asar aaya wo chahe bad kahe qasid buton ko ya mujh ko haram mein chain se iman ja ke dhar aaya lahad mein shana hila kar ye maut kahti hai le ab to chaunk musafir ki apne ghar aaya hazar shukr hua aaftab-e-hashr tulu badi to laj rahi ye ki tu nazar aaya gawahiyan huin aaza ki hashr mein maqbul wo pak ho gae ilzam mere sar aaya hujum-e-gham ne sikhane ki lakh koshish ki hamein to aah bhi karna na umr bhar aaya jo chand din mein hue zi-kamal kaun hain 'shad' hamein to sher ka kahna na umr bhar aaya usi ko sher samajhte hain 'shad' ahl-e-mazaq udhar padha ki dilon mein idhar utar aaya