ab bhi tauhin-e-itaat nahin hogi hum se dil nahin hoga to baiat nahin hogi hum se roz ek taza qasida nai tashbib ke sath rizq bar-haq hai ye khidmat nahin hogi hum se dil ke mabud jabinon ke khudai se alag aise aalam mein ibaadat nahin hogi hum se ujrat-e-ishq wafa hai to hum aise mazdur kuchh bhi kar lenge ye mehnat nahin hogi hum se har nai nasl ko ek taza madine ki talash sahibo ab koi hijrat nahin hogi hum se sukhan-arai ki surat to nikal sakti hai par ye chakki ki mashaqqat nahin hogi hum se